اقرأ باسم ربك الذي خلق

Apr 14, 2019

Jannatiyo Ke Kamre Jaise Chamakte Sitare

۩ Abu Saeed khadhri r.a. se riwayat hai ki RasoollAllah ﷺ ne farmaya, “Jannati log apne se buland kamre walo ko is tarah dekhenge jis tarah chamakte sitare ko, jo subah ke waqt rah gaya ho, aasman ke kinarey par purab ya paschim me, inme ek dusre se afzal hoga, logon ne arz kiya ya Rasoollallah ﷺ ye to Ambiya ke mahal honge jinhe inke siwa aur koi nahi pa sakega Aap ﷺ ne farmaya, 'Nahi us zaat ki kasam jiske hath me meri jaan hai, ye un logon ke liye honge jo Allah taala par eemaan laye aur Ambiya ki tashdeek ki.'”

Sahih Bukhari, 3256.

•٠•●●•٠•

۩ Narrated Abu Said Al-Khudri r.a.: The Prophet ﷺ said, “The people of Paradise will look at the dwellers of the lofty mansions (i.e. a superior place in Paradise) in the same way as one looks at a brilliant star far away in the East or in the West on the horizon; all that is because of their superiority over one another (in rewards).”
On that the people said, 'O Allah's Apostle ﷺ Are these lofty mansions for the prophets which nobody else can reach? The Prophet ﷺ replied, No! By Allah in whose Hands my life is, these are for the men who believed in Allah and also believed in the Apostles.'”

Sahih Bukhari, 3256.

•٠•●●•٠•

Post a Comment